Sapne Sunehre

Samundaro k Gehraiyo se bhi gehre

Dekhe the maine kabhi Sapne Sunhere

Sapno me dekha tha ek Jahaan

Jisme thi Beshumaar Khushiyaan

Maa ka Aanchal, Papa ka pyaar

Maa ki daant aur Papa ka Dulaar

Imli ki Chatni toh kabhi Aam ka achaar

Milta tha mujhe Unka pyaar beshumaar

Ghar se school, School se ghar

Naa thi muje Kisi bhi baat ki fikar

Naa Zindagi me koi pareshaani

Naa hone wale Unhoni ki khabhar..

Naa Socha tha kabhi

Ye pal hai kuch pal k mehmaan

Aur fir iske baad zindagi bhar mai rahungi pareshaan

Darr k saaye me jiyungi Zindagi,

Kho jaengi Dikhawato mein meri Saadgi

Ab Naa hai Maa ka aanchal

Naa Papa ka saath

Naa Maa k haath ki Chatni..

Naa aam ka achaar

Ab naa hi Maa Raato ko loriya gaakar sulati

Naa Subeh pyaar se jagaati hai

Naa papa Goad mein uthate

Naa Maa apne haatho se Khilaati hai

Door hai wo ab Chaand taaro ki tarah

Fir bhi Dil mein basey hai

Meethi yaadon ki tarah

Karne chali thi mai unlka Sapna poora

Par kya kabhi bhi ab paa sakungi

Unka Pyaar Adhoora

Raah naa Dikhta koi,

Toh Ghabra si jaati hun

Yaad aae unki toh

Sehem si jaati hun

Gir padte hai aansu aankho se

Jaise girtey hai sukhey bejaan patte

Pedo ki Saakho se..

Ho jaati hun udaas

Toh jaati hun unke tasvir k pass

Dekh unhe Tadapta hai mann

Aur yaad aata hai apna Bachpan

Jahaa tha Maa ka aanchal,

Papa ka Saath..

Imli ki chatni ,toh kabhi aam ka achaar

Aur milta tha mujhe unka pyaar Beshumaar..

In the loving Memory of my Childhood & My Parents.. Miss you Maa..

-Damini Shah

3 thoughts on “Sapne Sunehre”

Leave a comment