Tum yaad aa hi jati ho!

Chuski lete hi chai ki

Tum yaad aa hi jati ho

Zayka jab bhi lun mai garama garam khane ki

Tum yaad aa hi jati ho

Abhi gae din jab Diwali thi

Ya yun kahun jitne bhi diwali ae aur gae

Us har beeti diwali pe

Diyo ki raushni k beech

Aur patakho k shor mein

Tum yaad aa hi jati ho

Kuch paney me kuch kho dene mein

Har gamm mein har khushi me 

Har ehsaas ki ehsaas mein

Tum yaad aa hi jati ho

Mai bol dun ya chup rahu

Royu ya hasti rahu

Mere har prayaas mein

Tum yaad aa hi jati ho

Mai pehnu jab naya libaas koi

Dhoondey meri ankhe tumhe pochne ko

Ki dekho mujpe ye kaisa laga? 

Aur fir tum yaad aa hi jati ho

Ankhe kholney aur band karne k darmiyaan

Chal raha jo kuch bhi sath mere

Uske har ek wazood me

 Mai kya karun..

Maa! tum yaad aa hi jati hun

Tum roz bahaut yaad aati ho…

-Damini

 

 

 

Bhulaane yogya kaha?

Tum aur tumse judi baatey

Bhulne- bhulaane yogya kaha?

Yaad aa hi jati hai har din
Kabhi khayalo mein toh kabhi haqeeqat ban kisi aur roop me
Par yaad aa hi jati hai..

Ab bhoolney ki koshish bhi nisfal hai na..
Bhala koi apne jeevan k unnis saal kaise bhuley?

Sochun toh yaad karne ko tumhare ahem bhumika k siwa un saalo mein aur hai hi kya?

Haa par tab main is baat ko na samaj pae
Pata nahi kyun befizul ki baato me uljhi rahi?

Tum theek hi kehti thi,
Jaaney wala nahi
Peechey reh janey wala
Yaado mein rehta hai

Mai bhi rahungi,
Mujhe pata hai
Tabhi toh un yado me tumhe aur merey bachpan,

Dono ko hi samet liya hai maine..

Na yaadey ab bhoolney degi
Na hi mai kabhi koshish karungi

Kyuki tum aur tumse judi baatey

Bhala bhulaaney yogya kaha?

-Damini