Wo kya hi Samajh Payenge!

Peechey reh jaaney ka dard

Aagey Nikal jaaney waley

Kabhi Kya hi jaan paeyenge…

Haar mein kaisi hoti hai Chubhan

Ye Jitney waley

Kabhi Kya hi samajh payenge..

Chalti hai jispe

Wakt ki Chaabuk

Kaise seh letey hain

Wo us dard ko

Ye Hasin wakt se Guzarney waley

Kabhi Kya hi aak payenge…

Peechey reh jaaney ka dard

Aagay nikal jaaney waley

Kabhi Kya hi jaan paeyenge…

Wyasht hain dhoondhne mein jo

Diye hue prashnno k

Ab tak uttar..

Wo Sawaal baney logo k uljhano ko

Kya hi Samajh payenge

Peechey reh jaaney ka dard

kabhi kya hi jaan payenge..

Guzarti hai kya naazuk dil pe

Jab Naseeb de de Dhokha

Ye Mukaddar k Sikkandar

Kabhi kya hi mehsus kar payenge…

Mehsus karney waley toh chal basey kab k

Jo Dil ki baaton ko

Yuhi bhaap liya kartey the

Ab Jo reh gaye hai sesh

Wo Izhaarey dil bhi Kya hi Sun payenge..

Peechey reh jaaney ka dard

Kabhi Kya hi jaan payenge..

Suna hai jo kehtey the khud ko Sher

Ek Zammaney mein Kabhi

Wo bhi ab mukhotey pehen

Jhund mein Chala Kartey hain

Akele chal Zindagi se lad jaaney ka hunar

Wo Bhed me Chhupe Log

Kya hi Samjh payenge..

Peechey reh jaaney ka Dard

Aagey Nikal jaaney waley

Kabhi Kya hi jaan payenge…

Has dena toh bada aasaan hai

Kisi ki bhi Laachaari par

Baishakhi le Chalne walo ka Jigar

Do pau pe rengne waley

Kabhi kahaa hi rakh payenge..

Peeche reh jaane ka dard

Kya hi jaan payenge..

Kadr jo kar naa paaye beet rahe

Wakt k keemat ki kabhi

Wo maut k bistar par letey Hue ki

Ghadi Ghadi ki ahmeyat ko kya hi Samajh payenge

Peechey Reh jaaney ka dard

Aagey nikal jaaney waley

Kabhi Kya hi jaan payenge..

-Damini Shah