Maanavta k dar par chhae
Is andhakaar ko kaun ujwalit karey?
Vilupt ho gai jo bhavnaye Sankrinta k bhavar mein
Us bhavar se ubhar kar punnah un bhaavnao ko kaun durusht karey?
Maanavta k dar par chhae es andhakaar ko kaun Ujwalit karey?
Kuch chhand me in Manushyo k kukarm ko bayaa karna,
Aasaan nahi kisi kavi k liye,,,
Chand lamhe bhi in vilupt Chetnao pe..
Bhala kaun Vyatit karey?
Maanavta k dar par Chhae es Andhakaar ko kaun Ujwalit karey
Yaha toh ban rahe Wartamaan aur aane wale vawishya
Ko bhi nar naa kar parishram Wyarth Guzaar  Atit karey..
Vivhwal Hriday kar ae Hansa,
Kyun tu apna mann Dhukhit Karey..
Aa kar Is Chir Yamini me ae Pathik,
Ban Damini chal Rashmi Jeevan Aalokit karey..
Maanavta k Dar par Chhae es Andhakaar ko kaun Ujwalit Karey??