Khud se Khud ki jang mai Kab tak Ladti Jaungi?
Takraake khud k wajood se,
Ek Din khud mein hi Kho jaungi
Paraajit toh tab hote hai,
Jab dusre Jeet jae
Khud se khud ki parajikta
Mai kab tak sehti Jaungi..
Khud se Khud ki jang mai kab tak Ladti Jaungi?
Behoshi k aalam mein bhi,
Sachyet Raha karti thi har wakt ruh meri,
Ab hosh mein rehkar bhi
Yun Chetna mukt Kaise reh paungi
Khud se Khud ki jang mai kab tak Ladti Jaungi?
Khud ki Khushi ki toh kab ki kar di khudkhushi
Dusro ko dikhaane k liye,
Es jhuthi muskaan ka dikhaawa,
Kab tak Karti Jaungi..
Khud se Khud ki jang mai kab tak ladti jaungi?
Bin Manzil chalte jaana
Aasaan nahi kisi Pathik k liye
Dusro k dikhae raasto pe,
Mai kab tak chalti Jaungi
Khud se Khud ki jang mai kab tak ladti jaungi?
Aarambh ka hi jab pata nahi,
Toh sukhad annt ki kya Kalpana karey
Bin viraam k es wakya ko,
Mai kab tak likhti Jaungi
Khud se Khud ki jang Mai kab tak ladti Jaungi?