Aaj pata nahi kyun kuch likhne ka bada mann kar raha hai
Aisa aksar nahi hota
Jabki pata hai ki likhne baithu
Toh kuch na kuch likh hi lungi
Par isme kamaal mera kuch bhi nahi
Is zindagi ka hai
Jisne muje likhne ko ek rang diya
Bas gamm ye hai ki rang me ek hi rang diya
Rangin rang hota toh kitna accha hota
Likhne ko kae baatey hoti
Abhi toh filhaal bas ek andherey kaaley rang ka khokhla kona hai
Jisme jazbaat ki sihahi se aksar raushni bharne ki koshish karti hun
aur shabdo se sicchne ki mehnat
Par kabhi kabhi lagta hai
Jo bhi mila kahin na kahin
Aaj mere wajood me Zinda hai
Ek kalaakaar kabhi kisi bhi chiz ko
Jo use kabhi na kabhi chhu kar gae ho
Bujhne ya marne nahi deta
Yehi toh uski sabse badi kalaakaari hai
Apne andar ki marey hue bhavnao ko bhi wakt bewakt
lafzo k sahare zinda rakhna
Islie jab bhi likhne ka mann karta hai
Kalam utha leti hun
Pata nahin kaun sa mere andar ka mara hua hissa
Aaj fir se jeena chahta ho..
-Damini Shah