Tag Archives: POem

Tum yaad aa hi jati ho!

Chuski lete hi chai ki

Tum yaad aa hi jati ho

Zayka jab bhi lun mai garama garam khane ki

Tum yaad aa hi jati ho

Abhi gae din jab Diwali thi

Ya yun kahun jitne bhi diwali ae aur gae

Us har beeti diwali pe

Diyo ki raushni k beech

Aur patakho k shor mein

Tum yaad aa hi jati ho

Kuch paney me kuch kho dene mein

Har gamm mein har khushi me 

Har ehsaas ki ehsaas mein

Tum yaad aa hi jati ho

Mai bol dun ya chup rahu

Royu ya hasti rahu

Mere har prayaas mein

Tum yaad aa hi jati ho

Mai pehnu jab naya libaas koi

Dhoondey meri ankhe tumhe pochne ko

Ki dekho mujpe ye kaisa laga? 

Aur fir tum yaad aa hi jati ho

Ankhe kholney aur band karne k darmiyaan

Chal raha jo kuch bhi sath mere

Uske har ek wazood me

 Mai kya karun..

Maa! tum yaad aa hi jati hun

Tum roz bahaut yaad aati ho…

-Damini

 

 

 

“Trapped”

You know you are trapped

When you move

But not reach anywhere

You know you are trapped

When the roads you take

Leads always to the end

You know you are trapped

When you do things

What you did the last day

And the day before that

You know you are trapped

When you speak but not your mind

You know you are trapped

When you think

But not conclude

You know you are trapped

When you look

But not observe

You know you are trapped

When you meet someone

And get lost in thoughts

You know you are trapped

When you smile

But never laugh

You know you are trapped

When you touch

But cannot feel

You know you are trapped

When you listen a song

But not understand the lyrics

You know you are trapped

When you write

But only the negatives

You know you are trapped

When your dreams

Are not anymore what you visualise

But it’s just what you see at night

You know you are trapped

All trapped.. 

In so many pre-conceived notions

In your fears, In your past

In your pain, in your worries

In your head , in your soul

You are trapped and You know it…

PicsArt_1432134304717

 

 

 

 

Sukun se bhara ek Saans liya!!

Tha wo kitna befikr aur khush

Jo Kaagaz k nau ka ban maanjhi

Bin patwaar use chala raha tha

Bheeni bheeni khusbu wali baarish mein

Thi kitni sukun chehre pe uski

Hoton Pe muskaan wo sabke sajaa raha tha

Dekh use kheltey yun befikri se

Merey mann mein sawalon key tufaan umdh ae

Wo khelta khilkhilaata sadak pe befikr

Mai yahaan baitha ghar k chaukhat pe

Khud se hi Chhipkar , ghabrae hue

Kyun tha itna antar dono k haal me

Ek ne kuch paaya nahi bheeng kar fir bhi hai khush

Aur dusra, jisne kuch khoya hi nahi wo fir kyun baitha hai naa khush?

Baarish toh ek hi thi dono k liye

Fir kyun bani ek k liye bin wiraam k wakya

Aur dusre k liye ant bhari shuruaat

Sach toh ye hai ki sehejta se jeney ki chaah mein

Jeeven ki saralta hi bhool gaya hai insaan

Bade bade sapne poore karne mein is kadar Khoya hai

K choti choti Khushiyaa jholi mein bharna

Bhool baitha hai insaan

Kuch hi pal mein , mann mein aen sawalo se

Khud hi mann ghutne laga

Fir kya,

khol di Ghar ki saari khidkiyaa maine

Aur chain se bhara ek Saans liya

Aaney di baarish ki chhitey chehre pe apne

Bheeng janey k darr ko hataakar

Mann ko fir se jeeney ki aaturta se bheenganey ko mann kiya

Kuch pal k liye hi sahi,

Fir se maine sukun se bhara ek saans lia..

PicsArt_1432134304717

Maa hai meri sabse Acchi!

Mamta bhare aanchal ki chhao kitni niraali hai

Maa toh hai meri sabse acchi

Sabse zaada pyaari hai

Mere liye kar diya usne apna sabkuch arpan

Kho kar khud ka sukh chain seencha hai mera Bachpan

Mamta ki wo murat meri sabse pakki saheli hai

Maa toh hai meri sabse acchi

Sabse zaada pyaari hai

Goad hai uski mere liye thandey peepal ki chhau

Jannat hai wo zameen

Jahaa bhi padte hai mere maa k paon

Duniya k har dhun se surili

Gayee hui uski lori hai

Maa toh hai meri sabse acchi

Sabse zaada pyaari hai

Wo naa hoti toh hota naa mera koi bhi wajood

katra katra mera roshan kia hai usne

Jal kar agni mein khud

Ae maa teri sakshiyat ko

Mera koti koti pranaam hai

Mere liye toh meri janani

Ishwar se bhi mahaan hai..

Masoom hai kitni uski surat

Baate bhi bholi bhaali hai

Maa toh hai meri sabse acchi

Sabse zaada pyaari hai..

(Miss you maa)

-Damini Shah

Chalta Jaa ae Raahi!

Baith Baith kya Soch raha hai

Aagey Chalta jaa ae raahi

Bhar baazuo me Damm

Kar le Jeetne ki taayari..

Khel kud k Ghar aaney k

Din toh gae ab beet

Vyarth guzaar naa kar aaj ko

Kal ka nisfal ateet

Yu Chuppi teri naa shor banegi

Naa hi kabhi Dahaad

Thakey hue pairo se kaise

Milegi sapno ko uncchi udaan

Baith Baith kya soch raha hai

Aagey chalta jaa ae raahi

Bhar baajuo me damm

Kar le jeetney ki Taiyaari

Baandh le aisa josh Jigar mein

Mil jaaye Khoi Raahey

Thad-Thad kaapey Chalne se koi

Tere adig kadam k Aagey

Naa Soch kabhi toh haarega

Naa hi khona tu bharosa

Jeetta tha aur jeetega

Rakh harshu yahi tu aasha

Baith Baith kya soch raha hai

Agaey Chalta jaa Ae raahi

Bhar Baajuo Mein Damm

Kar le Jeetney Ki taiyaari…

-Damini Shah