Maa teri Goad mein

Wakt k Pahiyon ko kaash Beetey dino me lautaane ko mil jaata

Bhool kar din Udaasi waaley

Maa… Kaash teri goad mein Sar rakhne ko mil jaata

Khwabo se parey

Kadwi Sacchai se bharey

Is aaj ko,

Beetey Suhaane dino se badalne ko mil jaata

Maa… Kaash teri goad mein sar rakhne ko mil jaata..

Zakhm diye jo wakt ne mujhe

Bheeng gayi unse aankhe meri

Bheengi palko ko tere aanchal se poonchhne ko mil jaata..

Maa… Kaash teri goad mein sar rakhne ko mil jaata

Jo baatey teri mai kabhi Samjh naa payi

Aaj wakt ne samjha diya

Teri daant se jo Sikhna tha ..

Aaj Logon k taano ne sikha diya

Tum kya gayi sab kuch jaise badal sa gaya

Logon ko pehchaanne ka hunar wakt mujhe sikha gaya

Sab kuch chhut gaya jaise peeche bas ek aas dil me aaj bhi hai

Kitna accha hota agar tera saath mujhe phir se mil paata..

Maa… Kaash Teri goad mein ek baar sar rakhne ko mil jaata..

PicsArt_1432134304717

8 thoughts on “Maa teri Goad mein”

  1. Have you ever considered creating an ebook or guestauthoring on other websites? I have a blog centered on the same ideas you discuss andwould really like to have you share somestories/information. I know my subscribers would appreciate yourwork. If you’re even remotely interested, feel free to shoot mean e mail.

    Like

Leave a comment